aisi nigah-e-ishq mere dil pe Dal de
aisī nigāh-e-ishq mire dil pe Daal de
mere vujūd ko jo musalsal jamāl de
jis se dikhā.ī de mujhe har samt tū hī tū
yā-rab mirī nazar meñ kuchh aisā ujaal de
mere tasavvurāt meñ qābiz ho sirf tū
har lamha zehn-o-dil meñ tū apnā ḳhayāl de
mahsūs hijr meñ bhī mujhe saath ho tirā
gar tū visāl de to kuchh aisā visāl de
shiddat de 'ishq meñ mujhe aisī ki ye jahāñ
har 'ishq kī misāl meñ merī misāl de
ho tujh se guftugū mirī har nazm-o-nasr meñ
mere taḳhayyulāt meñ aisā kamāl de
sun terī aarzū meñ na bhaTkūñ maiñ is liye
tū apne aap ko mire dil meñ biThāl de
aisi nigah-e-ishq mere dil pe Dal de
mere wujud ko jo musalsal jamal de
jis se dikhai de mujhe har samt tu hi tu
ya-rab meri nazar mein kuchh aisa ujal de
mere tasawwuraat mein qabiz ho sirf tu
har lamha zehn-o-dil mein tu apna KHayal de
mahsus hijr mein bhi mujhe sath ho tera
gar tu visal de to kuchh aisa visal de
shiddat de 'ishq mein mujhe aisi ki ye jahan
har 'ishq ki misal mein meri misal de
ho tujh se guftugu meri har nazm-o-nasr mein
mere taKHayyulat mein aisa kamal de
sun teri aarzu mein na bhaTkun main is liye
tu apne aap ko mere dil mein biThaal de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.