aisi tahrir jo aansu ki jhaDi sabit ho
aisī tahrīr jo aañsū kī jhaḌī sābit ho
phir tavaqqo.a ki mohabbat bhī kaḌī sābit ho
kyoñ bichhāte ho mirī raah meñ lafzī kāñTe
do vo paiġhām jo motī kī laḌī sābit ho
terī shamshīr kā shāḳh-e-gul-e-ulfat pe ho vaar
kaise mumkin ki vo phūloñ kī chhaḌī sābit ho
be-niyāzī tirī baḌhtī hī rahī roz-o-shab
terī furqat meñ koī achchhī ghaḌī sābit ho
maut aanī hai to aa jaa.e kisī din lekin
zindagī bhī kabhī rāhoñ meñ paḌī sābit ho
kaash aa jaa.e yaqīñ merī mohabbat kā tujhe
merī chāhat tirī har shai se baḌī sābit ho
ruuTh kar jab maiñ chalūñ rāh-e-adam kī jānib
raah roke tirī āvāz khaḌī sābit ho
dil meñ chāhat hai 'ġhazal' sirf tujhe paane kī
koī to vasl kī anmol ghaḌī sābit ho
aisi tahrir jo aansu ki jhaDi sabit ho
phir tawaqqoa ki mohabbat bhi kaDi sabit ho
kyon bichhate ho meri rah mein lafzi kanTe
do wo paigham jo moti ki laDi sabit ho
teri shamshir ka shaKH-e-gul-e-ulfat pe ho war
kaise mumkin ki wo phulon ki chhaDi sabit ho
be-niyazi teri baDhti hi rahi roz-o-shab
teri furqat mein koi achchhi ghaDi sabit ho
maut aani hai to aa jae kisi din lekin
zindagi bhi kabhi rahon mein paDi sabit ho
kash aa jae yaqin meri mohabbat ka tujhe
meri chahat teri har shai se baDi sabit ho
ruTh kar jab main chalun rah-e-adam ki jaanib
rah roke teri aawaz khaDi sabit ho
dil mein chahat hai 'ghazal' sirf tujhe pane ki
koi to wasl ki anmol ghaDi sabit ho
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 409)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.