aisi tan-asani se
aisī tan-āsānī se
baaz aa jā nādānī se
jiinā mushkil hotā hai
itnī nukta-dānī se
sahrā bhī sharmātā hai
is dil kī vīrānī se
laaj kahāñ tak aa.egī
ḳhvāboñ kī uryānī se
pyaas nahīñ bujh paatī hai
dariyā kī darbānī se
pīchhā kaun chhuḌā paayā
is duniyā-dīvānī se
aisi tan-asani se
baz aa ja nadani se
jina mushkil hota hai
itni nukta-dani se
sahra bhi sharmata hai
is dil ki virani se
laj kahan tak aaegi
KHwabon ki uryani se
pyas nahin bujh pati hai
dariya ki darbani se
pichha kaun chhuDa paya
is duniya-diwani se
- Book : Rang hava main phel raha hai (Pg. 39)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.