aisi tanhai hai apne se bhi ghabraata hun main
aisī tanhā.ī hai apne se bhī ghabrātā huuñ maiñ
jal rahī haiñ yaad kī sham.eñ bujhā jaatā huuñ maiñ
aa ga.ī āḳhir ġham-e-dil vo bhī manzil aa ga.ī
mujh ko samjhāte the jo ab un ko samjhātā huuñ maiñ
zindagī āzāda-rau bahr-e-haqīqat be-kanār
mauj aatī hai to baḌhtā hī chalā jaatā huuñ maiñ
bazm-e-fikr-o-hosh ho yā mahfil-e-aish-o-nishāt
har jagah se chand nashtar chand ġham laatā huuñ maiñ
zehn meñ yādoñ ke gulshan dil meñ azm-e-jū-e-shīr
ik nayā farhād paatā huuñ jidhar jaatā huuñ maiñ
shab ke sannāTe meñ rah ġhairoñ ke naġhme kī tarah
ahl-e-dil kī bastiyoñ meñ aah ban jaatā huuñ maiñ
himmat-afzā hai har ik uftād rāh-e-ishq kī
Thokareñ khātā huuñ girtā huuñ sambhal jaatā huuñ maiñ
ishq aksar māñgtā hai naġhma-e-ishrat kī bhiik
ahl-e-duniyā kī tahī-dastī pe sharmātā huuñ maiñ
shām-e-tanhā.ī bujhā do jhilmilātī sham.a bhī
in añdheroñ hī meñ aksar raushnī paatā huuñ maiñ
aaj āġhosh-e-tamannā thī shanāsā-e-visāl
razm-gāh-e-zindagī meñ tāza-dam aatā huuñ maiñ
koī nāzuk haath baazū thaam letā hai mirā
Thokareñ khātā to huuñ lekin sambhal jaatā huuñ maiñ
apne miTne kā bhī ġham hotā hai is ehsās se
maiñ nahīñ apnā magar terā to kahlātā huuñ maiñ
hai suhānī kis qadar un dūriyoñ kī chāñdnī
pūchh letā hai koī 'zaidī' to itrātā huuñ maiñ
aisi tanhai hai apne se bhi ghabraata hun main
jal rahi hain yaad ki shamen bujha jata hun main
aa gai aaKHir gham-e-dil wo bhi manzil aa gai
mujh ko samjhate the jo ab un ko samjhata hun main
zindagi aazada-rau bahr-e-haqiqat be-kanar
mauj aati hai to baDhta hi chala jata hun main
bazm-e-fikr-o-hosh ho ya mahfil-e-aish-o-nishat
har jagah se chand nashtar chand gham lata hun main
zehn mein yaadon ke gulshan dil mein azm-e-ju-e-shir
ek naya farhad pata hun jidhar jata hun main
shab ke sannaTe mein rah ghairon ke naghme ki tarah
ahl-e-dil ki bastiyon mein aah ban jata hun main
himmat-afza hai har ek uftad rah-e-ishq ki
Thokaren khata hun girta hun sambhal jata hun main
ishq aksar mangta hai naghma-e-ishrat ki bhik
ahl-e-duniya ki tahi-dasti pe sharmata hun main
sham-e-tanhai bujha do jhilmilati shama bhi
in andheron hi mein aksar raushni pata hun main
aaj aaghosh-e-tamanna thi shanasa-e-visal
razm-gah-e-zindagi mein taza-dam aata hun main
koi nazuk hath bazu tham leta hai mera
Thokaren khata to hun lekin sambhal jata hun main
apne miTne ka bhi gham hota hai is ehsas se
main nahin apna magar tera to kahlata hun main
hai suhani kis qadar un duriyon ki chandni
puchh leta hai koi 'zaidi' to itraata hun main
- Book : Nasiim-e-Dasht-e-Aarzoo (Pg. 116)
- Author : Ali jawad Zaidi
- Publication : Ali jawad Zaidi (1982)
- Edition : 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.