aisi tanhai mein ab rang jamaya jae
aisī tanhā.ī meñ ab rang jamāyā jaa.e
shāḳh-e-sidra pe parinde ko biThāyā jaa.e
maiñ agar harf-e-ġhalat thā to likhā hī kyoñ thā
likh diyā hai to ḳhudārā na miTāyā jaa.e
pahle kahte the mohabbat hai to Darnā kaisā
ab ye kahte ho tamāshā na banāyā jaa.e
vo mahak hai to use saañs meñ mahsūs karo
vo badan hai to use haath lagāyā jaa.e
'ishq hai 'ishq ye shatranj nahīñ hai sāhib
mujh payāde ko na ḳhāne se haTāyā jaa.e
rā.egāñ honā hī likkhā hai agar vaqt 'azīz
kyā ye mumkin hai tire saath gañvāyā jaa.e
vo mire haal se andāza lagā legā kabhī
kyā zarūrī hai use 'ishq jatāyā jaa.e
apnī āvāz se Dar lagtā hai mujh ko 'anjum'
varna jī chāhtā hai shor machāyā jaa.e
aisi tanhai mein ab rang jamaya jae
shaKH-e-sidra pe parinde ko biThaya jae
main agar harf-e-ghalat tha to likha hi kyon tha
likh diya hai to KHudara na miTaya jae
pahle kahte the mohabbat hai to Darna kaisa
ab ye kahte ho tamasha na banaya jae
wo mahak hai to use sans mein mahsus karo
wo badan hai to use hath lagaya jae
'ishq hai 'ishq ye shatranj nahin hai sahib
mujh payaade ko na KHane se haTaya jae
raegan hona hi likkha hai agar waqt 'aziz
kya ye mumkin hai tere sath ganwaya jae
wo mere haal se andaza laga lega kabhi
kya zaruri hai use 'ishq jataya jae
apni aawaz se Dar lagta hai mujh ko 'anjum'
warna ji chahta hai shor machaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.