aisi taqsim ki surat nikal aai ghar mein
aisī taqsīm kī sūrat nikal aa.ī ghar meñ
dhuup ne hijr kī dīvār uThā.ī ghar meñ
sail aisā thā ki sab shahr-e-badan Duub gayā
raat bārish ne ajab bazm sajā.ī ghar meñ
muntazir kitne rahe band darīche saare
terī āvāz na phir lauT ke aa.ī ghar meñ
dar-o-dīvār mahakne lage andāzoñ se
maiñ ne tasvīr tirī juuñ hī lagā.ī ghar meñ
yuuñ hī ik raat use dil se nikālā kyā thā
phir mujhe raas koī raat na aa.ī ghar meñ
aisi taqsim ki surat nikal aai ghar mein
dhup ne hijr ki diwar uThai ghar mein
sail aisa tha ki sab shahr-e-badan Dub gaya
raat barish ne ajab bazm sajai ghar mein
muntazir kitne rahe band dariche sare
teri aawaz na phir lauT ke aai ghar mein
dar-o-diwar mahakne lage andazon se
main ne taswir teri jun hi lagai ghar mein
yun hi ek raat use dil se nikala kya tha
phir mujhe ras koi raat na aai ghar mein
- Book : ruki huii shamon kii raahdaariyaz (Pg. 101)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.