Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aisi tez hawa aur aisi raat nahin dekhi

Obaidullah Aleem

aisi tez hawa aur aisi raat nahin dekhi

Obaidullah Aleem

MORE BYObaidullah Aleem

    aisī tez havā aur aisī raat nahīñ dekhī

    lekin ham ne maulā jaisī zaat nahīñ dekhī

    us shān-e-ajīb manzar dekhne vaalā hai

    ik aisā ḳhurshīd ki jis ne raat nahīñ dekhī

    bistar par maujūd rahe aur sair-e-haft-aflāk

    aisī kisī par rahmat barsāt nahīñ dekhī

    us aal vahī jo us ke naqsh-e-qadam par

    sirf zaat ham ne āl-e-sādāt nahīñ dekhī

    ek shajar hai jis shāḳheñ phailtī jaatī haiñ

    kisī shajar meñ ham ne aisī baat nahīñ dekhī

    ik dariyā-e-rahmat hai jo bahtā jaatā hai

    ye shān-e-barkāt kisī ke saath nahīñ dekhī

    shāhoñ tārīḳh bhī ham ne dekhī hai lekin

    us ke dar ke gadāoñ vaalī baat nahīñ dekhī

    us ke naam pe māreñ khānā ab e.azāz hamārā

    aur kisī ye izzat auqāt nahīñ dekhī

    sadiyoñ is dhuup chhāñv meñ koī hameñ batlā.e

    puurī huī kaun us baat nahīñ dekhī

    ahl-e-zamīñ ne kaun ham par zulm nahīñ Dhāyā

    kaun nusrat ham ne us ke haath nahīñ dekhī

    aisi tez hawa aur aisi raat nahin dekhi

    lekin hum ne maula jaisi zat nahin dekhi

    us ki shan-e-ajib ka manzar dekhne wala hai

    ek aisa KHurshid ki jis ne raat nahin dekhi

    bistar par maujud rahe aur sair-e-haft-aflak

    aisi kisi par rahmat ki barsat nahin dekhi

    us ki aal wahi jo us ke naqsh-e-qadam par

    sirf zat ki hum ne aal-e-sadat nahin dekhi

    ek shajar hai jis ki shaKHen phailti jati hain

    kisi shajar mein hum ne aisi baat nahin dekhi

    ek dariya-e-rahmat hai jo bahta jata hai

    ye shan-e-barkat kisi ke sath nahin dekhi

    shahon ki tariKH bhi hum ne dekhi hai lekin

    us ke dar ke gadaon wali baat nahin dekhi

    us ke nam pe maren khana ab eazaz hamara

    aur kisi ki ye izzat auqat nahin dekhi

    sadiyon ki is dhup chhanw mein koi hamein batlae

    puri hui kaun si us ki baat nahin dekhi

    ahl-e-zamin ne kaun sa hum par zulm nahin Dhaya

    kaun si nusrat hum ne us ke hath nahin dekhi

    Source :
    • Book : Veeran sarai ka diya (Pg. 85)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now