Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aisi wafa karo ke wafa bolne lage

Shyama singh sabaa

aisi wafa karo ke wafa bolne lage

Shyama singh sabaa

MORE BYShyama singh sabaa

    aisī vafā karo ke vafā bolne lage

    muTThī kankarī bhī ḳhudā bolne lage

    himmat ke vo charāġh jalāo hayāt meñ

    nazreñ jhukā ke jin se havā bolne lage

    sharmindagī ke ashk bahāo kuchh is tarah

    mā'būd ke karam 'atā bolne lage

    maiñ boltī nahīñ huuñ to allāh se Daro

    aisā na ho tumhārī jafā bolne lage

    jab sāmne aa.e to vo shikva na kar sake

    kyā bolne ko aa.e the kyā bolne lage

    aisi wafa karo ke wafa bolne lage

    muTThi ki kankari bhi KHuda bolne lage

    himmat ke wo charagh jalao hayat mein

    nazren jhuka ke jin se hawa bolne lage

    sharmindagi ke ashk bahao kuchh is tarah

    ma'bud ke karam ki 'ata bolne lage

    main bolti nahin hun to allah se Daro

    aisa na ho tumhaari jafa bolne lage

    jab samne aae to wo shikwa na kar sake

    kya bolne ko aae the kya bolne lage

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now