aisi waisi pe qanaat nahin kar sakte hum
aisī vaisī pe qanā'at nahīñ kar sakte ham
daan ye faqr kī daulat nahīñ kar sakte ham
ik 'adāvat se farāġhat nahīñ miltī varna
kaun kahtā hai mohabbat nahīñ kar sakte ham
kisī tā'bīr kī sūrat meñ nikal aate haiñ
apne ḳhvāboñ meñ sukūnat nahīñ kar sakte ham
isti'āroñ ke takalluf meñ paḌe haiñ jab se
apne hone kī vazāhat nahīñ kar sakte ham
shāḳh se toḌ liyā karte haiñ aage baḌh kar
jin kī ḳhush-bū pe qanā'at nahīñ kar sakte ham
be-ḳhabar yuuñ ki har ik baat ḳhabar lagtī hai
bā-ḳhabar aise ki hairat nahīñ kar sakte ham
aisi waisi pe qana'at nahin kar sakte hum
dan ye faqr ki daulat nahin kar sakte hum
ek 'adawat se faraghat nahin milti warna
kaun kahta hai mohabbat nahin kar sakte hum
kisi ta'bir ki surat mein nikal aate hain
apne KHwabon mein sukunat nahin kar sakte hum
isti'aron ke takalluf mein paDe hain jab se
apne hone ki wazahat nahin kar sakte hum
shaKH se toD liya karte hain aage baDh kar
jin ki KHush-bu pe qana'at nahin kar sakte hum
be-KHabar yun ki har ek baat KHabar lagti hai
ba-KHabar aise ki hairat nahin kar sakte hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.