ajaibaat-e-mohabbat mein jo shumar hua
ajā.ibāt-e-mohabbat meñ jo shumār huā
vo arsh-o-farsh ke mābain be-kanār huā
karam bhī us kā huā aur be-shumār huā
kabhī vo us kā kabhī merā ġham-gusār huā
vo tez tiir thā yak-laḳht jaan se guzrā
ḳhalish rahī na koī dil ke ār-pār huā
siyāh raat gharoñ meñ udāsiyāñ har-sū
sipāhiyoñ kā mujhe ḳhauf baar baar huā
vo sub.h-e-nūr thī jangal bhī kaisā raushan thā
magar ye shahr-e-talab kyoñ pas-e-ġhubār huā
usī ne mujh ko batāyā maiñ kaun thā kyā thā
maiñ pahle ḳhud pe nahīñ us pe āshkār huā
asīr-e-tīra-shabī thā kahāñ kā tabl-o-alam
miyāñ se niklā jo ḳhanjar to tābdār huā
ajaibaat-e-mohabbat mein jo shumar hua
wo arsh-o-farsh ke mabain be-kanar hua
karam bhi us ka hua aur be-shumar hua
kabhi wo us ka kabhi mera gham-gusar hua
wo tez tir tha yak-laKHt jaan se guzra
KHalish rahi na koi dil ke aar-par hua
siyah raat gharon mein udasiyan har-su
sipahiyon ka mujhe KHauf bar bar hua
wo subh-e-nur thi jangal bhi kaisa raushan tha
magar ye shahr-e-talab kyon pas-e-ghubar hua
usi ne mujh ko bataya main kaun tha kya tha
main pahle KHud pe nahin us pe aashkar hua
asir-e-tira-shabi tha kahan ka tabl-o-alam
miyan se nikla jo KHanjar to tabdar hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.