ajab ahwal dekha is zamane ke amiron ka
ajab ahwal dekha is zamane ke amiron ka
Shaikh Zahuruddin Hatim
MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim
ajab ahvāl dekhā is zamāne ke amīroñ kā
na un ko Dar ḳhudā kā aur na un ko ḳhauf pīroñ kā
misāl-e-mahr-o-mah din raat khāte charḳh phirte haiñ
falak ke haath se ye haal hai raushan-zamīroñ kā
qafas meñ pheñk ham ko phir vahīñ sayyād jaatā hai
ḳhudā hāfiz hai gulshan meñ hamāre ham-safīroñ kā
mujhe shikva nahīñ be-rahm kuchh tere taġhāful se
khule-bandoñ phire tū haal kyā jaane asīroñ kā
dil-e-yāqūt hai tujh la.al-e-lab ke rashk se pur-ḳhūñ
tire dandāñ ke aage ghaT gayā hai mol hīroñ kā
kiyā hai us nishāñ-andāz ne tarkash tahī mujh par
mirī chhātī sirā ho jis upar toda hai tīroñ kā
hameñ dīvān-ḳhāne se kisī mun.im ke kyā 'hātim'
hai āzādoñ ke gar rahne ko bas takiya faqīroñ kā
ajab ahwal dekha is zamane ke amiron ka
na un ko Dar KHuda ka aur na un ko KHauf piron ka
misal-e-mahr-o-mah din raat khate charKH phirte hain
falak ke hath se ye haal hai raushan-zamiron ka
qafas mein phenk hum ko phir wahin sayyaad jata hai
KHuda hafiz hai gulshan mein hamare ham-safiron ka
mujhe shikwa nahin be-rahm kuchh tere taghaful se
khule-bandon phire tu haal kya jaane asiron ka
dil-e-yaqut hai tujh lal-e-lab ke rashk se pur-KHun
tere dandan ke aage ghaT gaya hai mol hiron ka
kiya hai us nishan-andaz ne tarkash tahi mujh par
meri chhati sira ho jis upar toda hai tiron ka
hamein diwan-KHane se kisi munim ke kya 'hatim'
hai aazadon ke gar rahne ko bas takiya faqiron ka
- Book : Diwan Zadah (Pg. 114)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.