ajab andaz-e-mahfil ho raha hai
ajab andāz-e-mahfil ho rahā hai
ki marnā tak bhī mushkil ho rahā hai
sitāra māh-e-kāmil ho rahā hai
koī ma.asūm qātil ho rahā hai
mirī dīvāngī meñ kuchh dinoñ se
junūñ kā rang shāmil ho rahā hai
jo honā hai vahī ho kar rahegā
pareshāñ kis liye dil ho rahā hai
qayāmat jis ke qadmoñ se lagī hai
vo fitna jān-e-mahfil ho rahā hai
tabāhī dil kī nazdīk aa rahī hai
nigāhoñ ke muqābil ho rahā hai
karūñ ai 'shauq' kyā dushman kā shikva
yahāñ har dost qātil ho rahā hai
ajab andaz-e-mahfil ho raha hai
ki marna tak bhi mushkil ho raha hai
sitara mah-e-kaamil ho raha hai
koi masum qatil ho raha hai
meri diwangi mein kuchh dinon se
junun ka rang shamil ho raha hai
jo hona hai wahi ho kar rahega
pareshan kis liye dil ho raha hai
qayamat jis ke qadmon se lagi hai
wo fitna jaan-e-mahfil ho raha hai
tabahi dil ki nazdik aa rahi hai
nigahon ke muqabil ho raha hai
karun ai 'shauq' kya dushman ka shikwa
yahan har dost qatil ho raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.