ajab bala ka tasarruf tha KHwab par us ka
ajab balā kā tasarruf thā ḳhvāb par us kā
khulī jo aañkh to pahroñ rahā asar us kā
ham apnī tāb-e-tamāshā pe itne ḳhush kyoñ haiñ
abhī in āñkhoñ ne dekhā kahāñ hunar us kā
ajab nahīñ rag-e-gardan jo aap hī TuuTe
udhar kashīda bahut ho gayā hai sar us kā
vo raat jis ke liye kaise kaise din kaaTe
vo raat aa.ī to aalam hī thā digar us kā
zamīniyoñ kī kahāñ hamsarī nasīb use
ki hai sadā se dimāġh āsmān par us kā
ajab bala ka tasarruf tha KHwab par us ka
khuli jo aankh to pahron raha asar us ka
hum apni tab-e-tamasha pe itne KHush kyon hain
abhi in aankhon ne dekha kahan hunar us ka
ajab nahin rag-e-gardan jo aap hi TuTe
udhar kashida bahut ho gaya hai sar us ka
wo raat jis ke liye kaise kaise din kaTe
wo raat aai to aalam hi tha digar us ka
zaminiyon ki kahan hamsari nasib use
ki hai sada se dimagh aasman par us ka
- Book : غبار حیرانی (Pg. 144)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.