ajab chanchal mila hai yar hamna
ajab chanchal milā hai yaar hamnā
kiyā ik-bārgī sarshār hamnā
tadhāñ suuñ dekh kar kuchh yuuñ samajhte
do-ālam sāhab-e-asrār hamnā
gul-e-bustāñ hai goyā ḳhār-e-sahrā
vasā jab husn kā gulzār hamnā
zamīñ suuñ tā-falak saare hijābāt
hue haiñ matla-ul-anvār hamnā
huā dil surḳh-rū aayā nazar jab
shagufta chehra-e-gul-nār hamnā
navāzish aur talattuf suuñ apas ke
diyā ḳhalvat meñ apne baar hamnā
'alīmullāh' huzūrī meñ sanam ke
nahīñ juz bandagī iqrār hamnā
ajab chanchal mila hai yar hamna
kiya ik-bargi sarshaar hamna
tadhan sun dekh kar kuchh yun samajhte
do-alam sahab-e-asrar hamna
gul-e-bustan hai goya KHar-e-sahra
wasa jab husn ka gulzar hamna
zamin sun ta-falak sare hijabaat
hue hain matla-ul-anwar hamna
hua dil surKH-ru aaya nazar jab
shagufta chehra-e-gul-nar hamna
nawazish aur talattuf sun apas ke
diya KHalwat mein apne bar hamna
'alimullah' huzuri mein sanam ke
nahin juz bandagi iqrar hamna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.