Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajab din the ki in aankhon mein koi KHwab rahta tha

Asad Badayuni

ajab din the ki in aankhon mein koi KHwab rahta tha

Asad Badayuni

MORE BYAsad Badayuni

    ajab din the ki in āñkhoñ meñ koī ḳhvāb rahtā thā

    kabhī hāsil hameñ ḳhas-ḳhāna o barfāb rahtā thā

    ubharnā Dūbnā ab kashtiyoñ ham kahāñ dekheñ

    vo dariyā kyā huā jis meñ sadā girdāb rahtā thā

    vo sūraj so gayā hai barf-zāroñ meñ kahīñ kar

    dhaḌaktā raat din jis se dil-e-betāb rahtā thā

    jise paḌhte to yaad aatā thā terā phuul chehra

    hamārī sab kitāboñ meñ ik aisā baab rahtā thā

    suhāne mausamoñ meñ us tuġhyānī qayāmat thī

    jo dariyā garmiyoñ dhuup meñ pāyāb rahtā thā

    ajab din the ki in aankhon mein koi KHwab rahta tha

    kabhi hasil hamein KHas-KHana o barfab rahta tha

    ubharna Dubna ab kashtiyon ka hum kahan dekhen

    wo dariya kya hua jis mein sada girdab rahta tha

    wo suraj so gaya hai barf-zaron mein kahin ja kar

    dhaDakta raat din jis se dil-e-betab rahta tha

    jise paDhte to yaad aata tha tera phul sa chehra

    hamari sab kitabon mein ek aisa bab rahta tha

    suhane mausamon mein us ki tughyani qayamat thi

    jo dariya garmiyon ki dhup mein payab rahta tha

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ajab din the ki in aankhon mein koi KHwab rahta tha Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now