ajab faqir ho taj-e-jahaniyan tum ho
ajab faqir ho taj-e-jahaniyan tum ho
Rasheed Kausar Farooquee
MORE BYRasheed Kausar Farooquee
ajab faqīr ho tāj-e-jahāniyāñ tum ho
hasīr-e-ḳhāk pe masjūd āsmāñ tum ho
hujūm-e-nūr meñ khoyā huā hai merā vajūd
sivā-e-rūh vahāñ kyā huuñ maiñ jahāñ tum ho
darūñ-nigāh ko tanhā-ravī kā vahm nahīñ
varā-e-parda to sarḳhīl-e-kārvāñ tum ho
hijāb māne-e-ashkāl-e-ḳhīrgī Thahrā
nihāñ hue ho to kuchh aur bhī ayaañ tum ho
junūñ hazār zabāñ hai magar kise ma.alūm
ki jauhar-suḳhan-o-hāsil-bayāñ tum ho
kabhī balā kā tahayyur kahāñ nahīñ ho tum
kabhī tajassus-e-zohra-shikan kahāñ tum ho
yahī kushinda-a-ā.ada yahī hai bāz-pasīñ
tumhārā nāvak-e-sar-tez maiñ kamāñ tum ho
mujhe tumheñ nazar aate ho aur koī nahīñ
mire liye sabhī mahjūb haiñ ayaañ tum ho
mirī nigāh meñ āfāq-e-rañg-o-bū lāshe
mirī zamīn vo hai jis kā āsmāñ tum ho
pas-az-hayāt bhī haiñ kitnī vādiyāñ baaqī
abhī jahāñ ko ḳhabar kyā kahāñ kahāñ tum ho
hameñ tumhārī aTariyā kī chhāñv kaafī hai
sabhī ke sab haiñ hamāre to bas miyāñ tum ho
tumheñ sunā.ūñ jo yaad aa.e mujh pe kyā guzrī
ki dāstāñ to mirī mere dostāñ tum ho
ilāj-e-pastī-e-imroz laao tab jāneñ
amīn-e-rif.at-e-advār-e-pāstāñ tum ho
tumheñ gila thā ki ik nasl-e-ḳhvāb-nāk the ham
so lo ki ham to chale kal ke pāsbāñ tum ho
na pūchhe koī to yuuñ apne dil ko phuslā lo
durafsh-e-lashkar-e-fardā to be-gumāñ tum ho
ajab faqir ho taj-e-jahaniyan tum ho
hasir-e-KHak pe masjud aasman tum ho
hujum-e-nur mein khoya hua hai mera wajud
siwa-e-ruh wahan kya hun main jahan tum ho
darun-nigah ko tanha-rawi ka wahm nahin
wara-e-parda to sarKHil-e-karwan tum ho
hijab mane-e-ashkal-e-KHirgi Thahra
nihan hue ho to kuchh aur bhi ayan tum ho
junun hazar zaban hai magar kise malum
ki jauhar-suKHan-o-hasil-bayan tum ho
kabhi bala ka tahayyur kahan nahin ho tum
kabhi tajassus-e-zohra-shikan kahan tum ho
yahi kushinda-a-aada yahi hai baz-pasin
tumhaara nawak-e-sar-tez main kaman tum ho
mujhe tumhein nazar aate ho aur koi nahin
mere liye sabhi mahjub hain ayan tum ho
meri nigah mein aafaq-e-rang-o-bu lashe
meri zamin wo hai jis ka aasman tum ho
pas-az-hayat bhi hain kitni wadiyan baqi
abhi jahan ko KHabar kya kahan kahan tum ho
hamein tumhaari aTariya ki chhanw kafi hai
sabhi ke sab hain hamare to bas miyan tum ho
tumhein sunaun jo yaad aae mujh pe kya guzri
ki dastan to meri mere dostan tum ho
ilaj-e-pasti-e-imroz lao tab jaanen
amin-e-rifat-e-adwar-e-pastan tum ho
tumhein gila tha ki ek nasl-e-KHwab-nak the hum
so lo ki hum to chale kal ke pasban tum ho
na puchhe koi to yun apne dil ko phusla lo
durafsh-e-lashkar-e-farda to be-guman tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.