ajab fareb sa wo us ka muskurana tha
ajab fareb sa wo us ka muskurana tha
Aazim Gurvinder Singh Kohli
MORE BYAazim Gurvinder Singh Kohli
ajab fareb sā vo us kā muskurānā thā
use to jaise faqat mujh ko āzmānā thā
ġhazab kī baat ki tum ko bhī is zamāne meñ
mirā hī ghar thā jahāñ bijliyāñ girānā thā
use jahāñ meñ koī dūsrā adū na milā
nazar meñ us kī faqat maiñ hī ik nishānā thā
jo soz-e-ġham se mujhe har-nafas bachātā rahā
ḳhayāl-e-yār kī palkoñ kā shāmiyāna thā
tū dil kā saada thā 'āzim' tujhe pata na chalā
ki dil lagānā yahāñ sirf dil jalānā thā
ajab fareb sa wo us ka muskurana tha
use to jaise faqat mujh ko aazmana tha
ghazab ki baat ki tum ko bhi is zamane mein
mera hi ghar tha jahan bijliyan girana tha
use jahan mein koi dusra adu na mila
nazar mein us ki faqat main hi ek nishana tha
jo soz-e-gham se mujhe har-nafas bachata raha
KHayal-e-yar ki palkon ka shamiyana tha
tu dil ka sada tha 'azim' tujhe pata na chala
ki dil lagana yahan sirf dil jalana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.