ajab fasurda-dili se hayat kaTi hai
ajab fasurda-dilī se hayāt kaaTī hai
qarīb baiTh ke mayyat ke raat kaaTī hai
kisī kī yaad kī zanjīr TūTtī hī na thī
ye qaid-e-umr ba-sad-mushkilāt kaaTī hai
habāb-dār huā ḳhud-numā jahāñ qatra
sazā-e-da.avā-e-irfān-e-zāt kaaTī hai
uruuj ḳhāk-nashīnoñ kā bhī are tauba
tanāb-e-ḳhema-e-gardūñ-sifāt kaaTī hai
vo ḳhār-zār-e-hayāt aur ye ābla-pā.ī
lahū jalā ke shab-e-sānehāt kaaTī hai
huā hai yuuñ bhī ki jhuk jhuk ke jaḌ mohabbat kī
rafīqoñ ne za-rah-e-iltifāt kaaTī hai
kahīñ na 'barq' kī mahrūmiyoñ kā zikr aa.e
adū ne ishq-o-mohabbat kī baat kaaTī hai
ajab fasurda-dili se hayat kaTi hai
qarib baiTh ke mayyat ke raat kaTi hai
kisi ki yaad ki zanjir TuTti hi na thi
ye qaid-e-umr ba-sad-mushkilat kaTi hai
habab-dar hua KHud-numa jahan qatra
saza-e-dawa-e-irfan-e-zat kaTi hai
uruj KHak-nashinon ka bhi are tauba
tanab-e-KHema-e-gardun-sifat kaTi hai
wo KHar-zar-e-hayat aur ye aabla-pai
lahu jala ke shab-e-sanehat kaTi hai
hua hai yun bhi ki jhuk jhuk ke jaD mohabbat ki
rafiqon ne za-rah-e-iltifat kaTi hai
kahin na 'barq' ki mahrumiyon ka zikr aae
adu ne ishq-o-mohabbat ki baat kaTi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.