ajab hai pyar ke badle ka ab chalan yaro
ajab hai pyaar ke badle kā ab chalan yaaro
hai zaḳhm zaḳhm se chhalnī mirā badan yaaro
darīda-pairahanī apnī hai bahut ham ko
bahār le lo tumhīñ le lo ab chaman yaaro
tumhāre lab pe khilā ḳhanda sab ne dekhā hai
magar hamīñ ne hai dekhā tumhārā man yaaro
parā.e des kī begānagī ko kyā ro.eñ
the ham to apne vatan meñ bhī be-vatan yaaro
hamārī baat hai mub.ham ye sach nahīñ lekin
tumhīñ se sīkhe koī baat kā ye fan yaaro
hameñ chhupā na sakī maslahat kī tārīkī
hamīñ se aaj hai raushan har anjuman yaaro
‘adīb’-dostī 'shāġhil'-navāzī us kī ḳhuub
dakan kī den hai merā vaqār-e-fan yaaro
ajab hai pyar ke badle ka ab chalan yaro
hai zaKHm zaKHm se chhalni mera badan yaro
darida-pairahani apni hai bahut hum ko
bahaar le lo tumhin le lo ab chaman yaro
tumhaare lab pe khila KHanda sab ne dekha hai
magar hamin ne hai dekha tumhaara man yaro
parae des ki beganagi ko kya roen
the hum to apne watan mein bhi be-watan yaro
hamari baat hai mubham ye sach nahin lekin
tumhin se sikhe koi baat ka ye fan yaro
hamein chhupa na saki maslahat ki tariki
hamin se aaj hai raushan har anjuman yaro
‘adib’-dosti 'shaghil'-nawazi us ki KHub
dakan ki den hai mera waqar-e-fan yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.