Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajab hai us se kabhi wasl ho nahin paya

Ananth Faani

ajab hai us se kabhi wasl ho nahin paya

Ananth Faani

MORE BYAnanth Faani

    'ajab hai us se kabhī vasl ho nahīñ paayā

    hamāre biich meñ har baar aa.ina aayā

    ġhazal ko suud kahā aur ġham ko sarmāya

    hisāb 'aql se kyā ḳhuub dil ne karvāyā

    gagan ke maano ki jaise kabhī ye the nahīñ

    parindoñ ne hai qafas ko kuchh aise apnāyā

    kahā gayā hai inheñ sur lagāne ko jab bhī

    hamārī āñkhoñ ne malhār raag gaayā

    kisī ko qabr meñ lā-fāniyat huī hāsil

    kisī ko zindagī ne jiite dafnāyā

    'ajab hai us se kabhi wasl ho nahin paya

    hamare bich mein har bar aaina aaya

    ghazal ko sud kaha aur gham ko sarmaya

    hisab 'aql se kya KHub dil ne karwaya

    gagan ke mano ki jaise kabhi ye the hi nahin

    parindon ne hai qafas ko kuchh aise apnaya

    kaha gaya hai inhen sur lagane ko jab bhi

    hamari aankhon ne malhaar rag hi gaya

    kisi ko qabr mein la-faniyat hui hasil

    kisi ko zindagi ne jite ji hi dafnaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now