ajab hai ye qissa kahani mein dam hai
ajab hai ye qissa kahānī meñ dam hai
ye sab ne kahā thā kahānī meñ dam hai
palaT hī rahā thā ki pīchhe se mere
kisī ne pukārā kahānī meñ dam hai
mirī diary ko jalāne se pahle
vo kah kar gayā thā kahānī meñ dam hai
safhe hī palaTtā rahā raat bhar maiñ
ye rah rah ke samjhā kahānī meñ dam hai
kahāñ chal diye chhoḌ kar ye kahānī
tumhīñ ne kahā thā kahānī meñ dam hai
mujhe ek nāTak meñ dekhā thā us ne
to bolī ki aahā kahānī meñ dam hai
kahānī meñ rote hue mar gayā vo
ye kis ne batāyā kahānī meñ dam hai
ajab hai ye qissa kahani mein dam hai
ye sab ne kaha tha kahani mein dam hai
palaT hi raha tha ki pichhe se mere
kisi ne pukara kahani mein dam hai
meri diary ko jalane se pahle
wo kah kar gaya tha kahani mein dam hai
safhe hi palaTta raha raat bhar main
ye rah rah ke samjha kahani mein dam hai
kahan chal diye chhoD kar ye kahani
tumhin ne kaha tha kahani mein dam hai
mujhe ek naTak mein dekha tha us ne
to boli ki aaha kahani mein dam hai
kahani mein rote hue mar gaya wo
ye kis ne bataya kahani mein dam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.