ajab hain hum ye kis ki sai-e-la-hasil pe rote hain
ajab haiñ ham ye kis kī sa.i-e-lā-hāsil pe rote haiñ
abhī zinda haiñ aur nākāmī-e-qātil pe rote haiñ
hameñ rah rah ke tūfāñ kī rifāqat yaad aatī hai
haiñ ab āsūda-e-sāhil khaḌe sāhil pe rote haiñ
bahut ham ko rulāyā māzī-o-imroz ne so ab
nashāt-e-girya aisā hai ki mustaqbil pe rote haiñ
giroh-e-āshiqāñ thā shahr-e-girya un kī manzil thī
ye raste bhar bhī rote aa.e ab manzil pe rote haiñ
kahāñ rote haiñ ham āġhāz-e-tansīḳh-e-ta.alluq par
jo khīñchī jā chukī hai us had-e-fāsil pe rote haiñ
ajab hain hum ye kis ki sai-e-la-hasil pe rote hain
abhi zinda hain aur nakaami-e-qatil pe rote hain
hamein rah rah ke tufan ki rifaqat yaad aati hai
hain ab aasuda-e-sahil khaDe sahil pe rote hain
bahut hum ko rulaya mazi-o-imroz ne so ab
nashat-e-girya aisa hai ki mustaqbil pe rote hain
giroh-e-ashiqan tha shahr-e-girya un ki manzil thi
ye raste bhar bhi rote aae ab manzil pe rote hain
kahan rote hain hum aaghaz-e-tansiKH-e-talluq par
jo khinchi ja chuki hai us had-e-fasil pe rote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.