Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajab hi kya hai agar dhund mein ghubar mein hai

Ejaz Ansari

ajab hi kya hai agar dhund mein ghubar mein hai

Ejaz Ansari

MORE BYEjaz Ansari

    ajab kyā hai agar dhuñd meñ ġhubār meñ hai

    vo shaḳhs apne banā.e hue hisār meñ hai

    kahāñ hai vaqt abhī ham ko dil lagāne

    hamārī soch abhī fikr-e-rozgār meñ hai

    ġhamoñ ke saa.e meñ ḳhushiyoñ ke phuul mahke haiñ

    ḳhizāñ aks bhī kuchh mausam-e-bahār meñ hai

    jo eqtidār ke laa.eq na thā kisī sūrat

    sitam ye hai ki vahī shaḳhs eqtidār meñ hai

    ḳhudā ko karnā hai vāpas rahe ḳhayāl 'ejāz'

    hamāre paas to ye zindagī udhār meñ hai

    ajab hi kya hai agar dhund mein ghubar mein hai

    wo shaKHs apne banae hue hisar mein hai

    kahan hai waqt abhi hum ko dil lagane ka

    hamari soch abhi fikr-e-rozgar mein hai

    ghamon ke sae mein KHushiyon ke phul mahke hain

    KHizan ka aks bhi kuchh mausam-e-bahaar mein hai

    jo eqtidar ke laeq na tha kisi surat

    sitam ye hai ki wahi shaKHs eqtidar mein hai

    KHuda ko karna hai wapas rahe KHayal 'ejaz'

    hamare pas to ye zindagi udhaar mein hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now