ajab hua ki parinde uDan bhul gae
ajab huā ki parinde uḌaan bhuul ga.e
zamīñ pe rahne lage āsmān bhuul ga.e
zarūratoñ ne kuchh aisā banā diyā pāgal
ham apnā nām-o-nasab ḳhāndān bhuul ga.e
jab us ne chāñd hathelī se chhū diyā mujh ko
safar kī jo bhī thī saarī takān bhuul ga.e
ajab huā ki adālat meñ kal ḳhilāf us ke
bayān dene ga.e the bayān bhuul ga.e
zabān-e-yār samajhne kī dhun meñ ai 'qaisar'
jo apne paas thī vo bhī zabān bhuul ga.e
ajab hua ki parinde uDan bhul gae
zamin pe rahne lage aasman bhul gae
zaruraton ne kuchh aisa bana diya pagal
hum apna nam-o-nasab KHandan bhul gae
jab us ne chand hatheli se chhu diya mujh ko
safar ki jo bhi thi sari takan bhul gae
ajab hua ki adalat mein kal KHilaf us ke
bayan dene gae the bayan bhul gae
zaban-e-yar samajhne ki dhun mein ai 'qaisar'
jo apne pas thi wo bhi zaban bhul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.