ajab hujum sawalon ka raundta hai mujhe
'ajab hujūm savāloñ kā rauñdtā hai mujhe
maiñ kaun huuñ maiñ kahāñ se huuñ kyā huā hai mujhe
bikhar na jaa.e kahīñ jism-o-jāñ kā pul merā
vo mujh pe chal ke abhī paar kar rahā hai mujhe
ise shu'ūr kī dīmak na lag ga.ī ho kahīñ
vujūd ab ke bahut bhurbhurā milā hai mujhe
phir ek baar huuñ gum-gashtagī kī ḳhaak meñ dafn
phir ek shaḳhs ne qasdan bhulā diyā hai mujhe
maiñ apne aap ko bīmār kartā rahtā huuñ
bichhaḌ ke tujh se yahī kaam rah gayā hai mujhe
'ajab hujum sawalon ka raundta hai mujhe
main kaun hun main kahan se hun kya hua hai mujhe
bikhar na jae kahin jism-o-jaan ka pul mera
wo mujh pe chal ke abhi par kar raha hai mujhe
ise shu'ur ki dimak na lag gai ho kahin
wujud ab ke bahut bhurbhura mila hai mujhe
phir ek bar hun gum-gashtagi ki KHak mein dafn
phir ek shaKHs ne qasdan bhula diya hai mujhe
main apne aap ko bimar karta rahta hun
bichhaD ke tujh se yahi kaam rah gaya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.