ajab ek masala pesh aa gaya tha
ajab ik mas.ala pesh aa gayā thā
maiñ apne aap se Takrā gayā thā
tumhāre hijr kā aadī huuñ jānāñ
tumhāre qurb se uktā gayā thā
na pūchho hāv-hū yādoñ kī kyā thī
vo tanhā.ī thī dil ghabrā gayā thā
vo āñkheñ band thiiñ andar se shāyad
maiñ ulTe paañv vāpas aa gayā thā
tujhe chhūne kī gustāḳhī pe nādim
maiñ apnī ungliyāñ tak khā gayā thā
ajab ek masala pesh aa gaya tha
main apne aap se Takra gaya tha
tumhaare hijr ka aadi hun jaanan
tumhaare qurb se ukta gaya tha
na puchho haw-hu yaadon ki kya thi
wo tanhai thi dil ghabra gaya tha
wo aankhen band thin andar se shayad
main ulTe panw wapas aa gaya tha
tujhe chhune ki gustaKHi pe nadim
main apni ungliyan tak kha gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.