ajab ek saya-e-lahut mein tahlil hogi
ajab ik sāya-e-lāhūt meñ tahlīl hogī
fusūn-e-hashr se hai.at mirī tabdīl hogī
kiye jā.eñge mere jism meñ nuurī izāfe
kisī raushan sitāre par mirī takmīl hogī
diyā jā.egā ġhusl-e-avvalīñ mere badan ko
tilismī-bāġh hogā us ke andar jhiil hogī
kabhī pahuñchegā hiss-e-sāme.a tak harf-e-ḳhufta
kabhī āvāz-e-nā-mālūm kī tarsīl hogī
kabhī uqde khuleñge is asātīrī zamīñ ke
kabhī is dāstān-e-kuhna kī tāvīl hogī
ajab ek saya-e-lahut mein tahlil hogi
fusun-e-hashr se haiat meri tabdil hogi
kiye jaenge mere jism mein nuri izafe
kisi raushan sitare par meri takmil hogi
diya jaega ghusl-e-awwalin mere badan ko
tilismi-bagh hoga us ke andar jhil hogi
kabhi pahunchega hiss-e-samea tak harf-e-KHufta
kabhi aawaz-e-na-malum ki tarsil hogi
kabhi uqde khulenge is asatiri zamin ke
kabhi is dastan-e-kuhna ki tawil hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.