ajab kashish hai pas-e-ism-e-zat chalti hui
ajab kashish hai pas-e-ism-e-zāt chaltī huī
tavīl sajde meñ hai kā.enāt chaltī huī
milī thī raah meñ ik be-qarār parchhā.īñ
ghar aa ga.ī hai mire saath saath chaltī huī
tulū-e-sub.h se pahle ġhurūb-e-shām ke baad
Thahar ga.ī mire siine meñ raat chaltī huī
so maiñ ne bahs na kī guftugū ko ḳhatm kiyā
nikal ga.ī thī bahut duur baat chaltī huī
bichhaḌ gayā thā vahīñ vaqt saath chaltā huā
bhaTak ga.ī thī jahāñ kā.enāt chaltī huī
kuchh is tarah se sadā dī hai ik nazar ne 'nabīl'
ThiThak ke ruk ga.ī jaise hayāt chaltī huī
ajab kashish hai pas-e-ism-e-zat chalti hui
tawil sajde mein hai kaenat chalti hui
mili thi rah mein ek be-qarar parchhain
ghar aa gai hai mere sath sath chalti hui
tulu-e-subh se pahle ghurub-e-sham ke baad
Thahar gai mere sine mein raat chalti hui
so main ne bahs na ki guftugu ko KHatm kiya
nikal gai thi bahut dur baat chalti hui
bichhaD gaya tha wahin waqt sath chalta hua
bhaTak gai thi jahan kaenat chalti hui
kuchh is tarah se sada di hai ek nazar ne 'nabil'
ThiThak ke ruk gai jaise hayat chalti hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.