ajab KHulus ajab sadgi se karta hai
ajab ḳhulūs ajab sādgī se kartā hai
daraḳht nekī baḌī ḳhāmoshī se kartā hai
maiñ us kā dost huuñ achchhā yahī nahīñ kaafī
umiid aur bhī kuchh dostī se kartā hai
javāb dene ko jī chāhtā nahīñ us ko
savāl vaise baḌī ājizī se kartā hai
jise pata hī nahīñ shā.irī kā fan kyā hai
vo kārobār yahāñ shā.irī se kartā hai
samundaroñ se laḌe to use pata bhī chale
laḌā.ī kartā hai to bhī nadī se kartā hai
na.ī nahīñ hai ye us kī purānī aadat hai
shikāyateñ hoñ kisī kī kisī se kartā hai
muqāble ke liye log aur bhī haiñ magar
muqābla vo atul-'ajnabī' se kartā hai
ajab KHulus ajab sadgi se karta hai
daraKHt neki baDi KHamoshi se karta hai
main us ka dost hun achchha yahi nahin kafi
umid aur bhi kuchh dosti se karta hai
jawab dene ko ji chahta nahin us ko
sawal waise baDi aajizi se karta hai
jise pata hi nahin shairi ka fan kya hai
wo karobar yahan shairi se karta hai
samundaron se laDe to use pata bhi chale
laDai karta hai to bhi nadi se karta hai
nai nahin hai ye us ki purani aadat hai
shikayaten hon kisi ki kisi se karta hai
muqable ke liye log aur bhi hain magar
muqabla wo atul-'ajnabi' se karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.