ajab mamul hai aawargi ka
ajab ma.amūl hai āvārgī kā
garebāñ jhāñktī hai har galī kā
na jaane kis tarah kaise ḳhudā ne
bharosa kar liyā thā aadmī kā
abhī is vaqt hai jo kuchh hai varna
koī lamha nahīñ maujūdgī kā
mujhe tum se bichhaḌne ke evaz meñ
vasīla mil gayā hai shā.irī kā
zamīñ hai raqs meñ sūraj kī jānib
chhupā kar jism aadhā tīrgī kā
maiñ ik hī sat.h par Thahrūñgā kaise
utartā chaḌhtā paanī huuñ nadī kā
maiñ miTTī gūñdh kar ye sochtā huuñ
mujhe fan aa gayā kūza-garī kā
khaTak jā.ūñgā sofe ko tumhāre
maiñ banda baiThne vaalā darī kā
maiñ us manzar meñ paayā hī gayā kab
jahāñ bhī zāviya niklā ḳhushī kā
samundar jis kī āñkhoñ kā ho ḳhālī
vo kaise ḳhvāb dekhe jal-parī kā
nikālo kiil ko dīvār meñ se
vagarna Taañg lo photo kisī kā
ajab mamul hai aawargi ka
gareban jhankti hai har gali ka
na jaane kis tarah kaise KHuda ne
bharosa kar liya tha aadmi ka
abhi is waqt hai jo kuchh hai warna
koi lamha nahin maujudgi ka
mujhe tum se bichhaDne ke ewaz mein
wasila mil gaya hai shairi ka
zamin hai raqs mein suraj ki jaanib
chhupa kar jism aadha tirgi ka
main ek hi sath par Thahrunga kaise
utarta chaDhta pani hun nadi ka
main miTTi gundh kar ye sochta hun
mujhe fan aa gaya kuza-gari ka
khaTak jaunga sofe ko tumhaare
main banda baiThne wala dari ka
main us manzar mein paya hi gaya kab
jahan bhi zawiya nikla KHushi ka
samundar jis ki aankhon ka ho KHali
wo kaise KHwab dekhe jal-pari ka
nikalo kil ko diwar mein se
wagarna Tang lo photo kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.