ajab nahin jo ye manzar bhi samne aae
ajab nahīñ jo ye manzar bhī sāmne aa.e
qadam jahāñ bhī rakheñ ham zamīñ nikal jaa.e
ye kyā maqām hai jab bhī nazar uThātā huuñ
bulandiyoñ kā ajab silsila nazar aa.e
ujaaḌ dekh ke bastī ko dil udaas huā
khaḌe the jhunD khujūroñ ke baal bikhrā.e
mirī nigāh meñ ik rañg ab bhī baaqī hai
maiñ chāhtā huuñ ki vo bhī kabhī bikhar jaa.e
ajab nahin jo ye manzar bhi samne aae
qadam jahan bhi rakhen hum zamin nikal jae
ye kya maqam hai jab bhi nazar uThata hun
bulandiyon ka ajab silsila nazar aae
ujaD dekh ke basti ko dil udas hua
khaDe the jhunD khujuron ke baal bikhrae
meri nigah mein ek rang ab bhi baqi hai
main chahta hun ki wo bhi kabhi bikhar jae
- Book : سکوت دشت (Pg. 85)
- Author : اقبال انجم
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس دہلی۔6 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.