ajab nahin kabhi naghma bane fughan meri
'ajab nahīñ kabhī naġhma bane fuġhāñ merī
mirī bahār meñ shāmil hai ab ḳhizāñ merī
maiñ apne-āp ko auroñ meñ rakh ke dekhtā huuñ
kahīñ fareb na hoñ dard-mandiyāñ merī
maiñ apnī quvvat-e-iz.hār kī talāsh meñ huuñ
vo shauq hai ki sañbhaltī nahīñ zabāñ merī
yahī sabab hai ki ahvāl-e-dil nahīñ kahtā
kahūñ to aur ulajhtī haiñ gutthiyāñ merī
maiñ apne 'ijz pe nādim nahīñ huuñ ham-suḳhano
hazār-shukr tabī'at nahīñ ravāñ merī
'ajab nahin kabhi naghma bane fughan meri
meri bahaar mein shamil hai ab KHizan meri
main apne-ap ko auron mein rakh ke dekhta hun
kahin fareb na hon dard-mandiyan meri
main apni quwwat-e-izhaar ki talash mein hun
wo shauq hai ki sanbhalti nahin zaban meri
yahi sabab hai ki ahwal-e-dil nahin kahta
kahun to aur ulajhti hain gutthiyan meri
main apne 'ijz pe nadim nahin hun ham-suKHano
hazar-shukr tabi'at nahin rawan meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.