ajab nahin ki zamin panw se sarak jae
ajab nahīñ ki zamīñ paañv se sarak jaa.e
hamāre sar pe ka.ī din se āsmāñ bhī nahīñ
sharīf rah ke guzārī ga.ī javānī kā
agarche fā.eda kam hai magar ziyāñ bhī nahīñ
use qarīb se dekhe hue zamāna huā
sunā hai dekhne vāloñ se ab javāñ bhī nahīñ
maiñ koī der ko aayā huuñ is ḳharābe meñ
mirī nashist nahīñ hai mirā makāñ bhī nahīñ
'vaqās' le ke kahāñ jaa.e apnī ġhurbat ko
ki is liye to koī dūsrā jahāñ bhī nahīñ
ajab nahin ki zamin panw se sarak jae
hamare sar pe kai din se aasman bhi nahin
sharif rah ke guzari gai jawani ka
agarche faeda kam hai magar ziyan bhi nahin
use qarib se dekhe hue zamana hua
suna hai dekhne walon se ab jawan bhi nahin
main koi der ko aaya hun is KHarabe mein
meri nashist nahin hai mera makan bhi nahin
'waqas' le ke kahan jae apni ghurbat ko
ki is liye to koi dusra jahan bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.