ajab nuqush hain chehra to aisa tha hi nahin
ajab nuqush hain chehra to aisa tha hi nahin
Iqbal Ashhar Quraishi
MORE BYIqbal Ashhar Quraishi
ajab nuqūsh haiñ chehra to aisā thā hī nahīñ
ye merā aks nahīñ hai ki aa.ina hī nahīñ
likhūñ vo baat ki shiddat se ho tujhe mahsūs
mire qalam meñ shab-e-hijr kī siyāhī nahīñ
phirā rahā hai zamāne se rāstoñ kā tilism
ġharīb-e-shahr abhī mo'atabar huā hī nahīñ
khurach le zehn se saare ta.assurāt ki ab
tirī bahār kā mausam to aa.egā hī nahīñ
hazār qurb kī ḳhushbū ne baat kī 'ash.har'
vo kyā safar thā musāfir to kuchh khulā hī nahīñ
ajab nuqush hain chehra to aisa tha hi nahin
ye mera aks nahin hai ki aaina hi nahin
likhun wo baat ki shiddat se ho tujhe mahsus
mere qalam mein shab-e-hijr ki siyahi nahin
phira raha hai zamane se raston ka tilism
gharib-e-shahr abhi mo'atabar hua hi nahin
khurach le zehn se sare tassuraat ki ab
teri bahaar ka mausam to aaega hi nahin
hazar qurb ki KHushbu ne baat ki 'ashhar'
wo kya safar tha musafir to kuchh khula hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.