ajab rang ki mai-parasti rahi
ajab rañg kī mai-parastī rahī
ki be mai piye mai kī mastī rahī
bikharte rahe gesū-e-ambarīñ
sabā un se mil mil ke bastī rahī
rahā daur meñ sāġhar-e-nargisī
mirī mai un āñkhoñ kī mastī rahī
vo shakl apnī har dam badalte rahe
yahāñ mashq-e-sūrat-parastī rahī
vahīñ rah paḌe raah meñ husn-e-dost
jahāñ husn vāloñ kī bastī rahī
milī roz ham fāqa-mastoñ ko mai
ḳhudā jaane mahñgī ki sastī rahī
'mubārak' parastār-e-mai-ḳhāna thā
ye jab tak rahā mai-parastī rahī
ajab rang ki mai-parasti rahi
ki be mai piye mai ki masti rahi
bikharte rahe gesu-e-ambarin
saba un se mil mil ke basti rahi
raha daur mein saghar-e-nargisi
meri mai un aankhon ki masti rahi
wo shakl apni har dam badalte rahe
yahan mashq-e-surat-parasti rahi
wahin rah paDe rah mein husn-e-dost
jahan husn walon ki basti rahi
mili roz hum faqa-maston ko mai
KHuda jaane mahngi ki sasti rahi
'mubarak' parastar-e-mai-KHana tha
ye jab tak raha mai-parasti rahi
- Book : intekhaab-e-kalaam (Pg. 34)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.