ajab sa wo irada kar raha hai
ajab sā vo irāda kar rahā hai
likhe aurāq saada kar rahā hai
ġhazal meñ gholtā hai ras laboñ ke
abhī tīkhī ziyāda kar rahā hai
thī us ke haath meñ sandal sī lakḌī
na jaane kyoñ burāda kar rahā hai
chhupāne se nahīñ chhuptā hai lahja
agarche vo irāda kar rahā hai
nahīñ mā-ba.ad kā chakkar nahīñ hai
faqat az.hān taaza kar rahā hai
ajab sa wo irada kar raha hai
likhe auraq sada kar raha hai
ghazal mein gholta hai ras labon ke
abhi tikhi ziyaada kar raha hai
thi us ke hath mein sandal si lakDi
na jaane kyon burada kar raha hai
chhupane se nahin chhupta hai lahja
agarche wo irada kar raha hai
nahin ma-baad ka chakkar nahin hai
faqat azhan taza kar raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.