ajab si baat nahin kah gaya madari kya
'ajab sī baat nahīñ kah gayā madārī kyā
'adan se nikle hue saañp ko piTārī kyā
vo apnā kāñdhā baḌhā.e to yaad aatā hai
udhār māñgī huī niiñd kyā ḳhumārī kyā
vahāñ sadā.eñ musalsal duhā.ī detī haiñ
yahāñ kisī ko zarūrat nahīñ hamārī kyā
zamāna suntā hai ruk kar hamārī bātoñ ko
hamāre siine meñ āvāz hai tumhārī kiyā
mirā paḌāv ziyāda nahīñ zamāne meñ
mirī balā se ye hotī hai duniyā-dārī kyā
sunā hai tum bhī satā.e hue ho apnoñ ke
tumhāre vāste aa.ī nahīñ savārī kyā
tamām shahr meñ chīḳheñ sunā.ī detī haiñ
kisī ke haath yuuñ ḳhanjar bane kaTārī kyā
'adīm' raat kī dīvār kā sahārā liye
isī tarah se guzāroge 'umr saarī kyā
'ajab si baat nahin kah gaya madari kya
'adan se nikle hue sanp ko piTari kya
wo apna kandha baDhae to yaad aata hai
udhaar mangi hui nind kya KHumari kya
wahan sadaen musalsal duhai deti hain
yahan kisi ko zarurat nahin hamari kya
zamana sunta hai ruk kar hamari baaton ko
hamare sine mein aawaz hai tumhaari kiya
mera paDaw ziyaada nahin zamane mein
meri bala se ye hoti hai duniya-dari kya
suna hai tum bhi satae hue ho apnon ke
tumhaare waste aai nahin sawari kya
tamam shahr mein chiKHen sunai deti hain
kisi ke hath yun KHanjar bane kaTari kya
'adim' raat ki diwar ka sahaara liye
isi tarah se guzaroge 'umr sari kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.