ajab si bad-hawasi chha rahi hai
ajab sī bad-havāsī chhā rahī hai
mire dil se udāsī jā rahī hai
mire andar koī nārāz laḌkī
mirī har pesh-kash Thukrā rahī hai
mujhe kyā zindagī se lenā denā
mujhe kyuuñ zindagī uljhā rahī hai
mire ehsās bhī vāpas kar in meñ
mire ḳhat jo mujhe lauTā rahī hai
tire jaane se ai jān-e-tamannā
tamannā kī tamannā jā rahī hai
ajab si bad-hawasi chha rahi hai
mere dil se udasi ja rahi hai
mere andar koi naraaz laDki
meri har pesh-kash Thukra rahi hai
mujhe kya zindagi se lena dena
mujhe kyun zindagi uljha rahi hai
mere ehsas bhi wapas kar in mein
mere KHat jo mujhe lauTa rahi hai
tere jaane se ai jaan-e-tamanna
tamanna ki tamanna ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.