ajab si ek musibat ho gai hai
ajab sī ik musībat ho ga.ī hai
mujhe tum se mohabbat ho ga.ī hai
qadam rakkhā hai jab se ishq-nagrī
hameñ rone kī aadat ho ga.ī hai
nahīñ suntā hai ye dil ab hamārī
ise ab terī aadat ho ga.ī hai
rihā.ī kab mile kis ko patā hai
so ab zindāñ se raġhbat ho ga.ī hai
nahīñ hai aap tak apnī rasā.ī
pahuñch se duur qīmat ho ga.ī hai
yahāñ ab jaan par mere banī hai
tumhārī bas sharārat ho ga.ī hai
suno gar sun sako ai jān-e-'chandā'
hameñ duniyā se nafrat ho ga.ī hai
ajab si ek musibat ho gai hai
mujhe tum se mohabbat ho gai hai
qadam rakkha hai jab se ishq-nagri
hamein rone ki aadat ho gai hai
nahin sunta hai ye dil ab hamari
ise ab teri aadat ho gai hai
rihai kab mile kis ko pata hai
so ab zindan se raghbat ho gai hai
nahin hai aap tak apni rasai
pahunch se dur qimat ho gai hai
yahan ab jaan par mere bani hai
tumhaari bas shararat ho gai hai
suno gar sun sako ai jaan-e-'chanda'
hamein duniya se nafrat ho gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.