ajab sitam hai ki tere hisse se ghaT raha hun
ajab sitam hai ki tere hisse se ghaT raha hun
Mohammad Owais Malik
MORE BYMohammad Owais Malik
ajab sitam hai ki tere hisse se ghaT rahā huuñ
maiñ terā ho kar bhī aur logoñ meñ baT rahā huuñ
tū ek sail-e-ravāñ kī sūrat guzar rahā hai
maiñ ik jazīra huuñ har kināre se kaT rahā huuñ
khuleñge asrār-e-ishq uzlat-nashīniyoñ meñ
maiñ ek duniyā se ek dil meñ simaT rahā huuñ
agar tujhe ishq taash kā khel lag rahā hai
to le maiñ apne tamām patte ulaT rahā huuñ
azal abad ke sabhī masā.il pe baat hogī
abhī to ai zindagī maiñ tujh se nimaT rahā huuñ
sitāre juuñ juuñ falak se ma.adūm ho rahe haiñ
mujhe ye lagtā hai meñ bhī manzar se haT rahā huuñ
ajab sitam hai ki tere hisse se ghaT raha hun
main tera ho kar bhi aur logon mein baT raha hun
tu ek sail-e-rawan ki surat guzar raha hai
main ek jazira hun har kinare se kaT raha hun
khulenge asrar-e-ishq uzlat-nashiniyon mein
main ek duniya se ek dil mein simaT raha hun
agar tujhe ishq tash ka khel lag raha hai
to le main apne tamam patte ulaT raha hun
azal abad ke sabhi masail pe baat hogi
abhi to ai zindagi main tujh se nimaT raha hun
sitare jun jun falak se madum ho rahe hain
mujhe ye lagta hai mein bhi manzar se haT raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.