ajab sukut sa tari hai dil ke KHanon mein
ajab sukūt sā taarī hai dil ke ḳhānoñ meñ
ki dhaḌkaneñ bhī mirī gūñjtī haiñ kānoñ meñ
zarā sī tīrgī dekheñ jo āsmānoñ meñ
tuyūr lauTne lagte haiñ āshiyānoñ meñ
ik ek kar ke sabhī kuuch karte jaate haiñ
koī paret hai kyā shahr ke makānoñ meñ
vo jin meñ dekhne se dil kā haal dikh jaa.e
koī vo aa.ine rakh de nigār ḳhānoñ meñ
darūn-e-dil jo tirī yaad ke dafīne haiñ
bahut se qīmtī motī haiñ in ḳhazānoñ meñ
suḳhan ke shahr meñ kuchh bhī nayā nahīñ aayā
purānā maal hī biktā hai sab dukānoñ meñ
kisī bhī haal meñ us ko manā ke le aa.uuñ
palaT sakūñ jo maiñ guzre hue zamānoñ meñ
gulāb suukh ke shāḳhoñ se jhaḌ ga.e kab ke
ye chand ḳhaar hī baaqī haiñ phūl-dānoñ meñ
kabhī jo pyaar mohabbat kī baat niklegī
hamārā naam bhī aa.egā dāstānoñ meñ
vo jis meñ jaan se baḌh kar thī yaar kī izzat
'zakī' vo āshiqī miltī hai ab fasānoñ meñ
ajab sukut sa tari hai dil ke KHanon mein
ki dhaDkanen bhi meri gunjti hain kanon mein
zara si tirgi dekhen jo aasmanon mein
tuyur lauTne lagte hain aashiyanon mein
ek ek kar ke sabhi kuch karte jate hain
koi paret hai kya shahr ke makanon mein
wo jin mein dekhne se dil ka haal dikh jae
koi wo aaine rakh de nigar KHanon mein
darun-e-dil jo teri yaad ke dafine hain
bahut se qimti moti hain in KHazanon mein
suKHan ke shahr mein kuchh bhi naya nahin aaya
purana mal hi bikta hai sab dukanon mein
kisi bhi haal mein us ko mana ke le aaun
palaT sakun jo main guzre hue zamanon mein
gulab sukh ke shaKHon se jhaD gae kab ke
ye chand KHar hi baqi hain phul-danon mein
kabhi jo pyar mohabbat ki baat niklegi
hamara nam bhi aaega dastanon mein
wo jis mein jaan se baDh kar thi yar ki izzat
'zaki' wo aashiqi milti hai ab fasanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.