ajab thi rah-e-mohabbat ghazab kamal hua
'ajab thī rāh-e-mohabbat ġhazab kamāl huā
mujhe na apnī tabāhī kā kuchh ḳhayāl huā
kisī ke 'ishq meñ aisā kisī kā haal na ho
kisī ke 'ishq meñ jaisā hamārā haal huā
tamām log mile aur tamām bichhḌe magar
tumhāre jaane kā dil ko bahut malāl huā
sahī kahā ye abhī kal kī baat lagtī hai
par aap ġhaur kareñ is ko ek saal huā
vo ek raat vahī raat jab vo bichhḌā thā
tamām raat usī raat kā malāl huā
'ajab thi rah-e-mohabbat ghazab kamal hua
mujhe na apni tabahi ka kuchh KHayal hua
kisi ke 'ishq mein aisa kisi ka haal na ho
kisi ke 'ishq mein jaisa hamara haal hua
tamam log mile aur tamam bichhDe magar
tumhaare jaane ka dil ko bahut malal hua
sahi kaha ye abhi kal ki baat lagti hai
par aap ghaur karen is ko ek sal hua
wo ek raat wahi raat jab wo bichhDa tha
tamam raat usi raat ka malal hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.