ajab uljhan mein paDte ja rahe hain
ajab uljhan meñ paḌte jā rahe haiñ
kidhar ye saare raste jā rahe haiñ
baḌhī hai haisiyat phir bhī magar kyoñ
mere armān ghaTte jā rahe haiñ
unhīñ keī pairvī kartā hai ye dil
jirah jo ham se karte jā rahe haiñ
idhar mahfil tumheñ raas aa ga.ī hai
udhar ham ḳhud se kaTte jā rahe haiñ
burā lagtā nahīñ mausam koī ho
na.ī rañgat meñ Dhalte jā rahe haiñ
koī shikva nahīñ is baat se ab
ki ham hissoñ meñ baTte jā rahe haiñ
ajab uljhan mein paDte ja rahe hain
kidhar ye sare raste ja rahe hain
baDhi hai haisiyat phir bhi magar kyon
mere arman ghaTte ja rahe hain
unhin kei pairwi karta hai ye dil
jirah jo hum se karte ja rahe hain
idhar mahfil tumhein ras aa gai hai
udhar hum KHud se kaTte ja rahe hain
bura lagta nahin mausam koi ho
nai rangat mein Dhalte ja rahe hain
koi shikwa nahin is baat se ab
ki hum hisson mein baTte ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.