ajal ke sath chale hain yun intizar ke baad
ajal ke saath chale haiñ yuuñ intizār ke baad
vafā ke qaht paḌeñge vafā-shi.ār ke baad
mileñ kahāñ se vo ham se sanam-parast ki yaañ
jo bandagī kareñ terī gunāhgār ke baad
nigāh-e-nāz ke tīroñ kī dil meñ lutf-o-ḳhalish
nahīñ kahīñ pe vo mere sitam-shi.ār ke baad
kiyā jo qatl unhoñ ne to pūchho un se koī
qarār meñ nahīñ haiñ kyoñ vo be-qarār ke baad
ḳharīd kar ġham-e-jāñ tujh se mere shoḳh-o-hasīñ
malāl koī karegā na dil-figār ke baad
ḳhudā bhī mahv-e-kashākash hai ḳhuld ke liye huur
banā.e kaisī hasīñ tujh se shāhkār ke baad
kareñ jo ishq to rahtī kahāñ ye rang-o-ravish
mileñge tujh se kabhī ham jafā-e-yār ke baad
ye dil-lagī to kare haiñ vafā-shi.ār hoñ tab
tumhārī zulf sañvāreñ agar ḳhumār ke baad
ye ishq zar se hai taaki ye ḳhastā-hāloñ se
hamārā da.avā kareñge vo rozgār ke baad
badan ke TukḌe khilā.e tamām umr use
ġharībī bhuuk se mar jā.egī 'vaqār' ke baad
ajal ke sath chale hain yun intizar ke baad
wafa ke qaht paDenge wafa-shiar ke baad
milen kahan se wo hum se sanam-parast ki yan
jo bandagi karen teri gunahgar ke baad
nigah-e-naz ke tiron ki dil mein lutf-o-KHalish
nahin kahin pe wo mere sitam-shiar ke baad
kiya jo qatl unhon ne to puchho un se koi
qarar mein nahin hain kyon wo be-qarar ke baad
KHarid kar gham-e-jaan tujh se mere shoKH-o-hasin
malal koi karega na dil-figar ke baad
KHuda bhi mahw-e-kashakash hai KHuld ke liye hur
banae kaisi hasin tujh se shahkar ke baad
karen jo ishq to rahti kahan ye rang-o-rawish
milenge tujh se kabhi hum jafa-e-yar ke baad
ye dil-lagi to kare hain wafa-shiar hon tab
tumhaari zulf sanwaren agar KHumar ke baad
ye ishq zar se hai taki ye KHasta-haalon se
hamara dawa karenge wo rozgar ke baad
badan ke TukDe khilae tamam umr use
gharibi bhuk se mar jaegi 'waqar' ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.