ajal ki lahr uThae hue jahazon mein
ajal kī lahr uThā.e hue jahāzoñ meñ
'ajīb habs thā aa.e hue jahāzoñ meñ
'adam vujūd pighal kar sabhī barābar hai
kiran kī lau se chalā.e hue jahāzoñ meñ
har ek chiiz musalsal magan hai motion meñ
jumūd toḌ ke aa.e hue jahāzoñ meñ
shu'ūr-e-samt hai parvāz kā salīqa bhī
haveliyoñ meñ banā.e hue jahāzoñ meñ
nizām-e-zindagī kī muḳhtalif cloning thī
black-hole se aa.e hue jahāzoñ meñ
zamīnī mas.aloñ se be-ḳhabar savār hue
ham apne haath uThā.e hue jahāzoñ meñ
bas itnā hukm thā ham ne anaaj bharnā hai
falak kī samt se aa.e hue jahāzoñ meñ
ajal ki lahr uThae hue jahazon mein
'ajib habs tha aae hue jahazon mein
'adam wujud pighal kar sabhi barabar hai
kiran ki lau se chalae hue jahazon mein
har ek chiz musalsal magan hai motion mein
jumud toD ke aae hue jahazon mein
shu'ur-e-samt hai parwaz ka saliqa bhi
haweliyon mein banae hue jahazon mein
nizam-e-zindagi ki muKHtalif cloning thi
black-hole se aae hue jahazon mein
zamini masalon se be-KHabar sawar hue
hum apne hath uThae hue jahazon mein
bas itna hukm tha hum ne anaj bharna hai
falak ki samt se aae hue jahazon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.