ajal ne kar diya KHamosh to kya hai zaban hun main
ajal ne kar diyā ḳhāmosh to kyā hai zabāñ huuñ maiñ
ki hastī kā fasāna huuñ adam kī dāstāñ huuñ maiñ
zamīñ vaale jo kahte haiñ ki ab kyā piis Dālegā
to miltā hai javāb is kā ki daur-e-āsmāñ huuñ maiñ
maiñ samjhātā huuñ jab dil ko to kahtā hai matānat se
zamāne kī zabāñ to hai haqīqat kī zabāñ huuñ maiñ
mirī tasvīr merā but mirā marqad hai tan merā
kabhī thā to isī duniyā meñ lekin ab kahāñ huuñ maiñ
tirī ġhairat ko ai nāz-e-sitamgar kyā huā āḳhir
tire hote hue mamnūn-e-jaur-e-āsmāñ huuñ meñ
qayāmat kar gayā bār-e-amānat kā uThā lenā
harīf-e-mā-sivā huuñ mubtalā-e-imtihāñ huuñ maiñ
na jab uTThā thā dil duniyā se zarra zarra dilkash thā
magar ab āshiyāñ har jā hai par be āshiyāñ huuñ maiñ
nazar aatā hai har mimbar pe mujh ko ik nayā vaa.iz
jahāñ rindoñ kā majma.a ho vahāñ pīr-e-muġhāñ huuñ maiñ
mirī qismat meñ ai 'beḳhud' kahāñ manzil kī āsā.ish
ġhubār-e-rāh huuñ bāñg-e-darā-e-kārvāñ huuñ maiñ
ajal ne kar diya KHamosh to kya hai zaban hun main
ki hasti ka fasana hun adam ki dastan hun main
zamin wale jo kahte hain ki ab kya pis Dalega
to milta hai jawab is ka ki daur-e-asman hun main
main samjhata hun jab dil ko to kahta hai matanat se
zamane ki zaban to hai haqiqat ki zaban hun main
meri taswir mera but mera marqad hai tan mera
kabhi tha to isi duniya mein lekin ab kahan hun main
teri ghairat ko ai naz-e-sitamgar kya hua aaKHir
tere hote hue mamnun-e-jaur-e-asman hun mein
qayamat kar gaya bar-e-amanat ka uTha lena
harif-e-ma-siwa hun mubtala-e-imtihan hun main
na jab uTTha tha dil duniya se zarra zarra dilkash tha
magar ab aashiyan har ja hai par be aashiyan hun main
nazar aata hai har mimbar pe mujh ko ek naya waiz
jahan rindon ka majma ho wahan pir-e-mughan hun main
meri qismat mein ai 'beKHud' kahan manzil ki aasaish
ghubar-e-rah hun bang-e-dara-e-karwan hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.