ajib aadat hai be-sabab intizar karna
ajib aadat hai be-sabab intizar karna
Shees Mohammad Ismail Azmi
MORE BYShees Mohammad Ismail Azmi
ajiib aadat hai be-sabab intizār karnā
shab-e-alam meñ visāl ke din shumār karnā
nahīñ hai āsāñ adāvatoñ meñ asiir rahnā
ravish zamāne se muḳhtalif iḳhtiyār karnā
na be-niyāz-e-quyūd-e-ādāb-e-ishq rahnā
na apne atrāf maslahat kā hisār karnā
na ahl-e-dānish ke dām-o-dāna kā said honā
na shahr vāloñ ke lutf kā e'tibār karnā
jo mahfiloñ meñ shahīd-e-pindār-e-husn honā
to ḳhalvatoñ meñ ġhazāl ma.anī shikār karnā
bujhe charāġhoñ ko zeb-e-dāmān-o-jeb rakhnā
pighaltī sham.eñ qatār-andar-qatār karnā
ajib aadat hai be-sabab intizar karna
shab-e-alam mein visal ke din shumar karna
nahin hai aasan adawaton mein asir rahna
rawish zamane se muKHtalif iKHtiyar karna
na be-niyaz-e-quyud-e-adab-e-ishq rahna
na apne atraf maslahat ka hisar karna
na ahl-e-danish ke dam-o-dana ka said hona
na shahr walon ke lutf ka e'tibar karna
jo mahfilon mein shahid-e-pindar-e-husn hona
to KHalwaton mein ghazal mani shikar karna
bujhe charaghon ko zeb-e-daman-o-jeb rakhna
pighalti shamen qatar-andar-qatar karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.