ajib chhaya hai KHauf-o-hiras aankhon mein
ajiib chhāyā hai ḳhauf-o-hirās āñkhoñ meñ
tumhārā dard nahīñ hai udaas āñkhoñ meñ
tamām dasht pe taarī hai vajd kā aalam
junūñ kā raqs sitāra-shanās āñkhoñ meñ
ga.e zamānoñ se rishta mirā nahīñ TuuTā
adhūre ḳhvāboñ kī rakkhī hai baas āñkhoñ meñ
har ek chehre se aisā dhuāñ nahīñ uThtā
ye ḳhaas raushnī hotī hai ḳhaas āñkhoñ meñ
ye kaisā ḳhvāb sajā hai 'rabāb' kuchh din se
ki kam nahīñ kabhī hotī miThās āñkhoñ meñ
ajib chhaya hai KHauf-o-hiras aankhon mein
tumhaara dard nahin hai udas aankhon mein
tamam dasht pe tari hai wajd ka aalam
junun ka raqs sitara-shanas aankhon mein
gae zamanon se rishta mera nahin TuTa
adhure KHwabon ki rakkhi hai bas aankhon mein
har ek chehre se aisa dhuan nahin uThta
ye KHas raushni hoti hai KHas aankhon mein
ye kaisa KHwab saja hai 'rabab' kuchh din se
ki kam nahin kabhi hoti miThas aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.