ajib dukh hai labon par gila koi bhi na tha
ajiib dukh hai laboñ par gilā koī bhī na thā
bichhaḌte vaqt kisī se ḳhafā koī bhī na thā
har ek shaḳhs ko sachche hurūf azbar the
kisī ke paas magar mo.ajiza koī bhī na thā
ba-nām-e-husn sabhī guftugū kamāl kī thī
ye aur baat sar-e-ā.ina koī bhī na thā
azāb-e-zehn thī ik mehr āb-o-dāne par
tire nagar meñ ḳhushī se rahā koī bhī na thā
pas-e-zamīr adālat sabhī ko hāsil thī
magar ba-vaqt-e-zarūrat kharā koī bhī na thā
ajib dukh hai labon par gila koi bhi na tha
bichhaDte waqt kisi se KHafa koi bhi na tha
har ek shaKHs ko sachche huruf azbar the
kisi ke pas magar moajiza koi bhi na tha
ba-nam-e-husn sabhi guftugu kamal ki thi
ye aur baat sar-e-aina koi bhi na tha
azab-e-zehn thi ek mehr aab-o-dane par
tere nagar mein KHushi se raha koi bhi na tha
pas-e-zamir adalat sabhi ko hasil thi
magar ba-waqt-e-zarurat khara koi bhi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.