ajib haalat hai jism-o-jaan ki hazar pahlu badal raha hun
ajiib hālat hai jism-o-jāñ kī hazār pahlū badal rahā huuñ
vo mere andar utar gayā hai maiñ ḳhud se bāhar nikal rahā huuñ
bahut se logoñ meñ paañv ho kar bhī chalne-phirne kā dam nahīñ hai
mire ḳhudā kā karam hai mujh par maiñ apne pairoñ se chal rahā huuñ
maiñ kitne ash.ār likh ke kāġhaz pe phaaḌ detā huuñ be-ḳhudī meñ
mujhe pata hai maiñ azhdahā ban ke apne bachche nigal rahā huuñ
vo tez āñdhī jo gard uḌātī huī ga.ī hai tabhī se yaaro
galī ke nukkaḌ pe baiThā baiThā maiñ apnī āñkheñ masal rahā huuñ
abhī to āġhāz hai safar kā abhī añdhere bahut mileñge
tum apnī sham.eñ bachā ke rakkho charāġh ban kar maiñ jal rahā huuñ
ajib haalat hai jism-o-jaan ki hazar pahlu badal raha hun
wo mere andar utar gaya hai main KHud se bahar nikal raha hun
bahut se logon mein panw ho kar bhi chalne-phirne ka dam nahin hai
mere KHuda ka karam hai mujh par main apne pairon se chal raha hun
main kitne ashaar likh ke kaghaz pe phaD deta hun be-KHudi mein
mujhe pata hai main azhdaha ban ke apne bachche nigal raha hun
wo tez aandhi jo gard uDati hui gai hai tabhi se yaro
gali ke nukkaD pe baiTha baiTha main apni aankhen masal raha hun
abhi to aaghaz hai safar ka abhi andhere bahut milenge
tum apni shamen bacha ke rakkho charagh ban kar main jal raha hun
- Book : Mehrab-e-ishq (Pg. 56)
- Author : Azm Shakrii
- Publication : Lamhe Lamhe Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.